Hum Sabko Nek Raah-Suman Kalyanpur
DOLBY 杜比全景声 下载
臻品母带 下载
臻品全景声 下载
臻品音质
HIRES Hi-Res 下载
FLAC 无损flac 百度云网盘下载
APE 无损ape 格式下载
320MP3 极高mp3 歌曲下载
128MP3 标准mp3 百度网盘下载
192OGG 较高ogg 下载
192AAC 较高aac 下载
96AAC 标准aac 百度云下载
Loading...
TXT Hum Sabko Nek Raah-Suman Kalyanpur 文本歌词
Hum Sabko Nek Raah - Suman Kalyanpur
Hum sabko nek rah chalana mere allah
Bando ko burai se bachana mere allah
Allah karam karna maula tu reham karna
Allah karam karna maula tu reham karna
Ik vakaya sunati hoon main apni zubani
Apne bado se maine suni hai ye kahani
Rehta tha kisi shehar me ek aisa bhi insan
Jo nam ka muslim thha magar kam ka shaitan
Zalim ko zor e bazoo pe apne guroor tha
Yani ke bekhudi me khuda se wo door tha
Sab log use kehtey the jallad sitamgar
Masoom ki fariyad ka us pe na tha asar
Jo wada us ne kar liya wo kar ke dikhaya
Paiso ke liye qatl kiye khoon bahaya
Ik din wo behta khoon asar us pe kar gaya
Insan zinda ho gaya shaitan mar gaya
Allah karam karna maula tu reham karna
Allah karam karna maula tu reham karna
Iman jise kehte hain farman e khuda hai
Quran ke har lafz me us ki hi sada hai
Allah ne bakshi hai jo iman ki daulat
Ye sab se badi cheez hai insan ki daulat
Soye huye dilo ko jagata hai ye iman
Bhatke huyo ko rah dikhata hai ye iman
Iman ki garmi se pighal jate hain patthar
Is noor se bante hain sanwarte hain muqaddar
Jo sab se pyar karta hai insan wohi hai
Muslim hai wohi sahibe iman wohi hai
Allah karam karna maula tu reham karna
Allah karam karna maula tu reham karna
Jis kam ke karne pe na ho razi koi dil
Wo kam bhi is duniya me nafrat ke hai kabil
Jo kuchh bhi zuban keh de wo iqrar nahi hai
Laghzish hai labo ki wo gunehgar nahi hai
Jo dil se nahi karta burai ka irada
Allah se wo tauba karey tod de wada
Jaldi jo sambhal jaye wo nadan nahin hai
Iman jis me ho wo beiman nahin hai
Duniya me hamesha to nahi rehta andhera
Insan jahan jage wahi pe hai savera
Allah karam karna maula tu reham karna
Allah karam karna maula tu reham karna
Jo sacche dil se karta hai iman ki arzoo
Allah ki nazaron mein wo hota hai surkh rooh
Iman me kya kya na saha pyare nabee ne
Kya aisi musibat bhi utthayi hai kisi ne
Karbal ke shaheedo ne sabak hum ko padhaya
Sajde me de ke jan ko iman bachaya
Iss rah me jo sehte hain taqleef o musibat
Ik roz un pe hoti hai allah ki rehmat
Insan hai wo jo dusaro ka dil na dukhaye
Pad jaye agar jan pe to jan lutaye
Allah karam karna maula tu reham karna
Allah karam karna maula tu reham karna
Hum Sabko Nek Raah-Suman Kalyanpur 推荐歌曲