Insaan Bano-Mohammad Rafi/Lata Mangeshkar/Shamshad Begum
暂无资源。
Loading...
TXT Insaan Bano-Mohammad Rafi/Lata Mangeshkar/Shamshad Begum 文本歌词
Insaan Bano - Mohammad Rafi/Lata Mangeshkar/Shamshad Begum
Nirdhan Ka ghar lootanewalon
Loot lo dil ka pyaar
Pyaar wo dhan hain jiske aagae
Sab dhan hain bekaar
Insaan bano insaan bano
Kar lo bhalayi ka koi kaam
Insaan bano
Duniya se chale jaaoge
Rah jaayega bas naam
Insaan bano
Jis baag mein suraj bhi
Nikalata hain liye ghum
Phoolon ki hasi dekh ke
Ro deti hain shabanam
Kuchh der ki khushiyaan hain
To kuchh der ka maatam
Kis nind mein ho
Kis nind mein ho jaago
Jaraa soch lo anjaam
Insaan bano
Lakho yahaa shaan apani
Dikhaate huye aaye
Dam bhar ke liye naach gaye
Dhoop mein saaye
Wo bhool gaye the
Ke ye duniya hain saraayen
Aataa hain koi aataa hain koi subah
To jaata hain koi shaam
Insaan bano
Kyon tumane lagaye hain yaha
Julm ke dhere
Dhan saath na jaayega
Bane kyo ho lutere
Peethae ho gareebon ka
Lahoo shaam sawerae
Khud paap karo
Khud paap karo
Naam ho shaitaan ka badanaam
Insaan bano
Insaan bano
Kar lo bhalaayi ka koi kaam
Insaan bano
Duniyaa se chale jaaoge
Rah jaayega bas naam
Insaan bano